hum ki mayus hue hain dil-e-nakaam se bhi
hum ki mayus hue hain dil-e-nakaam se bhi
Maulwi Syed Mumtaz Ali
MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali
ham ki māyūs hue haiñ dil-e-nākām se bhī
ek vahshat huī jaatī hai tire naam se bhī
vahī Dastī huī nazroñ se bharā shahr tirā
vahī tanhā.ī kā ehsās dar-o-bām se bhī
ḳhud ko bhī bhuul ga.e tark-e-marāsim karte
lo tire ġham meñ ga.e āḳhirī ilzām se bhī
jaane us shoḳh ne dekhā mujhe kis tevar se
ab to ghabrāyā sā rahtā huuñ tahī jaam se bhī
kuchh to us ḳhanda-e-shādāb se mausam lahkā
aur kuchh mere mohabbat bhare paiġhām se bhī
haañ isī qurb ke sho.aloñ kī havā se 'sarmad'
dil sulagtā hai to jalte haiñ ḳhunuk shaam se bhī
hum ki mayus hue hain dil-e-nakaam se bhi
ek wahshat hui jati hai tere nam se bhi
wahi Dasti hui nazron se bhara shahr tera
wahi tanhai ka ehsas dar-o-baam se bhi
KHud ko bhi bhul gae tark-e-marasim karte
lo tere gham mein gae aaKHiri ilzam se bhi
jaane us shoKH ne dekha mujhe kis tewar se
ab to ghabraya sa rahta hun tahi jam se bhi
kuchh to us KHanda-e-shadab se mausam lahka
aur kuchh mere mohabbat bhare paigham se bhi
han isi qurb ke shoalon ki hawa se 'sarmad'
dil sulagta hai to jalte hain KHunuk sham se bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.