hum kisi paikar-e-marmar ki taraf kya dekhen
ham kisī paikar-e-marmar kī taraf kyā dekheñ
aa.ina dekh ke patthar kī taraf kyā dekheñ
dekhnā hai to kabhī Duub ke dekheñge use
is bulandī se samundar kī taraf kyā dekheñ
sāmne jo hai vo manzar nahīñ dekhā jaatā
sar pe laTke hue ḳhanjar kī taraf kyā dekheñ
band kamre meñ ghuTan hai magar uljhan to nahīñ
khiḌkiyāñ khol ke bāhar kī taraf kyā dekheñ
ham ko ma.alūm hai har lamha-e-hastī kā hisāb
uTh ke har sub.h calendar kī taraf kyā dekheñ
hum kisi paikar-e-marmar ki taraf kya dekhen
aaina dekh ke patthar ki taraf kya dekhen
dekhna hai to kabhi Dub ke dekhenge use
is bulandi se samundar ki taraf kya dekhen
samne jo hai wo manzar nahin dekha jata
sar pe laTke hue KHanjar ki taraf kya dekhen
band kamre mein ghuTan hai magar uljhan to nahin
khiDkiyan khol ke bahar ki taraf kya dekhen
hum ko malum hai har lamha-e-hasti ka hisab
uTh ke har subh calendar ki taraf kya dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.