hum kisi se be-sabab to dosti karte nahin
ham kisī se be-sabab to dostī karte nahīñ
dost un ko kyoñ kaheñ jo dushmanī karte nahīñ
laakh thoḌī sī mile lekin mohabbat chāhiye
nafratoñ meñ ham basar ye zindagī karte nahīñ
hai hamāre paas be-ta.abīr ḳhvāboñ kā hujūm
ham kisī se shikva-hā-e-muflisī karte nahīñ
kuchh na kuchh to thā ki us ne chhoḌ dī duniyā-sarā.e
be-sabab bhī jiine vaale ḳhud-kushī karte nahīñ
ham ġhazal gaane ke fan se nā-balad haiñ is liye
mahfil-e-sher-o-suḳhan meñ shā.erī karte nahīñ
ham ko kuchh parvā nahīñ ye jaan jaa.e yā rahe
sach agar kahnā paḌe to buzdilī karte nahīñ
hum kisi se be-sabab to dosti karte nahin
dost un ko kyon kahen jo dushmani karte nahin
lakh thoDi si mile lekin mohabbat chahiye
nafraton mein hum basar ye zindagi karte nahin
hai hamare pas be-tabir KHwabon ka hujum
hum kisi se shikwa-ha-e-muflisi karte nahin
kuchh na kuchh to tha ki us ne chhoD di duniya-sarae
be-sabab bhi jine wale KHud-kushi karte nahin
hum ghazal gane ke fan se na-balad hain is liye
mahfil-e-sher-o-suKHan mein shaeri karte nahin
hum ko kuchh parwa nahin ye jaan jae ya rahe
sach agar kahna paDe to buzdili karte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.