hum ko aashuftagi ne mara hai
ham ko āshuftagī ne maarā hai
har qadam sar-kashī ne maarā hai
chhoḌā dāman ajal-navāz ne to
raah meñ zindagī ne maarā hai
dostī bādaloñ se hai merī
phir bhī tishna-labī ne maarā hai
ik bulandī ne saath kyā chhoḌā
pastiyoñ meñ sabhī ne maarā hai
ahl-e-hikmat ne jab baġhāvat kī
raah kī ḳhud-sarī ne maarā hai
dil hai vo aa.ina jise 'tābish'
sang shīsha-garī ne maarā hai
hum ko aashuftagi ne mara hai
har qadam sar-kashi ne mara hai
chhoDa daman ajal-nawaz ne to
rah mein zindagi ne mara hai
dosti baadalon se hai meri
phir bhi tishna-labi ne mara hai
ek bulandi ne sath kya chhoDa
pastiyon mein sabhi ne mara hai
ahl-e-hikmat ne jab baghawat ki
rah ki KHud-sari ne mara hai
dil hai wo aaina jise 'tabish'
sang shisha-gari ne mara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.