hum ko azim kah ke jo dhoka diya gaya
ham ko aziim kah ke jo dhokā diyā gayā
raste meñ ik pahāḌ sā lā kar rakhā gayā
sochā thā vo mile to kareñge shikāyateñ
vo jab milā to milte hī saarā gila gayā
ik ik kaḌī ko joḌ ke dekhā to ye khulā
merā zamīñ kī had se pare silsila gayā
pahlā sā rabt-zabt na mujh se rahā use
phir rafta-rafta maiñ bhī use bhūltā gayā
ab aa ke ham ne sher ġhazal ke kahe 'nadīm'
thā jazb-o-fikr meñ jo kabhī fāsla gayā
hum ko azim kah ke jo dhoka diya gaya
raste mein ek pahaD sa la kar rakha gaya
socha tha wo mile to karenge shikayaten
wo jab mila to milte hi sara gila gaya
ek ek kaDi ko joD ke dekha to ye khula
mera zamin ki had se pare silsila gaya
pahla sa rabt-zabt na mujh se raha use
phir rafta-rafta main bhi use bhulta gaya
ab aa ke hum ne sher ghazal ke kahe 'nadim'
tha jazb-o-fikr mein jo kabhi fasla gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.