hum ko be-kar liye phirte ho bazaron mein
ham ko be-kār liye phirte ho bāzāroñ meñ
ham na yūsuf haiñ na yūsuf ke ḳharīdāroñ meñ
mulk taqsīm hue dil to salāmat haiñ abhī
khiḌkiyāñ ham ne khulī rakkhī haiñ dīvāroñ meñ
ik zabāñ jis ko ġhazal kahiye vo mujrim Thahrī
shāhzādī ko chunā jā.egā dīvāroñ meñ
ik havelī meñ chahakte hue panchhī kī tarah
terī āvāz abhī qaid hai darbāroñ meñ
dhuup kī aag meñ hañsne kī adā kyā jāneñ
jangalī phuul kahāñ aap ke gulzāroñ meñ
dil meñ sau ġham haiñ tirī yaad hai tanhā tanhā
ek ujlī sī parī phirtī hai bīmāroñ meñ
izzat-o-shohrat-o-daulat haiñ havā kī mānind
laal niile hare uḌte hue ġhubbāroñ meñ
hum ko be-kar liye phirte ho bazaron mein
hum na yusuf hain na yusuf ke KHaridaron mein
mulk taqsim hue dil to salamat hain abhi
khiDkiyan hum ne khuli rakkhi hain diwaron mein
ek zaban jis ko ghazal kahiye wo mujrim Thahri
shahzadi ko chuna jaega diwaron mein
ek haweli mein chahakte hue panchhi ki tarah
teri aawaz abhi qaid hai darbaron mein
dhup ki aag mein hansne ki ada kya jaanen
jangali phul kahan aap ke gulzaron mein
dil mein sau gham hain teri yaad hai tanha tanha
ek ujli si pari phirti hai bimaron mein
izzat-o-shohrat-o-daulat hain hawa ki manind
lal nile hare uDte hue ghubbaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.