hum ko bhi to husn ka didar hona chahiye
ham ko bhī to husn kā dīdār honā chāhiye
gar ho tum bīmār to bīmār honā chāhiye
jhuuT sach ko aaj to pahchānñā mushkil huā
jhuuT kā sach kā alag aḳhbār honā chāhiye
buz-diloñ ko is jahāñ meñ pūchhtā koī nahīñ
tujh ko duniyā se na yuuñ bezār honā chāhiye
is meñ hai kis kī taraqqī is meñ aisā kyā hunar
har bashar ke paas bas ghar-bār honā chāhiye
apne dushman ke liye bhī hai mirā ye mashvara
tiir jab chhoḌo jigar ke paar honā chāhiye
tum siyāsat ke bharose aaj tak luTte rahe
peḌ koī ho magar phaldār honā chāhiye
tum hī 'tanhā' ab to duniyā meñ akele rah ga.e
tum ko is duniyā se ab hamvār honā chāhiye
hum ko bhi to husn ka didar hona chahiye
gar ho tum bimar to bimar hona chahiye
jhuT sach ko aaj to pahchanna mushkil hua
jhuT ka sach ka alag aKHbar hona chahiye
buz-dilon ko is jahan mein puchhta koi nahin
tujh ko duniya se na yun bezar hona chahiye
is mein hai kis ki taraqqi is mein aisa kya hunar
har bashar ke pas bas ghar-bar hona chahiye
apne dushman ke liye bhi hai mera ye mashwara
tir jab chhoDo jigar ke par hona chahiye
tum siyasat ke bharose aaj tak luTte rahe
peD koi ho magar phaldar hona chahiye
tum hi 'tanha' ab to duniya mein akele rah gae
tum ko is duniya se ab hamwar hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.