hum ko dars-e-ulfat-o-mehr-o-wafa dete hue
hum ko dars-e-ulfat-o-mehr-o-wafa dete hue
Mohammad Habeeb Habeeb
MORE BYMohammad Habeeb Habeeb
ham ko dars-e-ulfat-o-mehr-o-vafā dete hue
ḳhud ko parkhā aap ne ye mashvara dete hue
hai bahut bezār apnī zindagī se vo magar
jā rahā hai sab ko jiine kī duā dete hue
faisla ik hai gunah kā jab kiyā us ne ġhalat
kaañp uTThā haath munsif kā sazā dete hue
parvarish hotī hai bachche kī ye us kī shaan hai
kis ne dekhā batn-e-mādar meñ ġhizā dete hue
chiir kar dariyā kā siina be-ḳhatar utre haiñ paar
hādse guzre haiñ ham ko rāsta dete hue
baap ke aañsū na thamte the ajab manzar thā vo
qabr par beTe kī apne fātiha dete hue
hil nahīñ sakte yahāñ se chāhe madfan hī bane
ham nahīñ vo jo chale jaa.eñ sadā dete hue
maiñ ki shashdar rah gayā saaqī kī harakat dekh kar
jaam laayā aur aage baḌh gayā dete hue
jab tumheñ fursat mile to shauq se aao 'habīb'
hañste hañste kah diyā us ne pata dete hue
hum ko dars-e-ulfat-o-mehr-o-wafa dete hue
KHud ko parkha aap ne ye mashwara dete hue
hai bahut bezar apni zindagi se wo magar
ja raha hai sab ko jine ki dua dete hue
faisla ek hai gunah ka jab kiya us ne ghalat
kanp uTTha hath munsif ka saza dete hue
parwarish hoti hai bachche ki ye us ki shan hai
kis ne dekha batn-e-madar mein ghiza dete hue
chir kar dariya ka sina be-KHatar utre hain par
hadse guzre hain hum ko rasta dete hue
bap ke aansu na thamte the ajab manzar tha wo
qabr par beTe ki apne fatiha dete hue
hil nahin sakte yahan se chahe madfan hi bane
hum nahin wo jo chale jaen sada dete hue
main ki shashdar rah gaya saqi ki harakat dekh kar
jam laya aur aage baDh gaya dete hue
jab tumhein fursat mile to shauq se aao 'habib'
hanste hanste kah diya us ne pata dete hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.