hum ko dildar aziz apna dil-e-zar aziz
hum ko dildar aziz apna dil-e-zar aziz
Mohammad Zakariyya Khan
MORE BYMohammad Zakariyya Khan
ham ko dildār aziiz apnā dil-e-zār aziiz
deñ na deñ jins-e-azīz aur ḳharīdār aziiz
ḳhvār rah kar hue barsoñ meñ vafādār aziiz
tūl-e-āzār se hote haiñ ye bīmār aziiz
is qadar kyoñ hai ḳhudā ishq kā āzār aziiz
mubtalā is meñ hamesha rahe do-chār aziiz
kabhī zindāñ se nikalne nahīñ detā bāhar
pāsbāñ ko haiñ magar is ke giraftār aziiz
ye sabab raunaq-e-dil ke vo matā.a-e-bāzār
yūsuf-e-dil hue yā yūsuf-e-bāzār aziiz
allah allāh butoñ kā vo tabaḳhtur vo ġhurūr
kis ke haiñ un ke sivā naḳhvat-o-pindār aziiz
kāfir-e-ishq-e-butāñ huuñ yahī maz.hab hai mirā
sūrat-e-rishta-e-jāñ hai mujhe zunnār aziiz
mujhe ai naala tirī be-asarī hai manzūr
rah mire dil meñ ki hai ḳhātir-e-dildār aziiz
ye mujhe kūcha-e-jānāñ se uThā laate haiñ
dost jo karte haiñ karnā nahīñ zinhār aziiz
qais dīvāna nahīñ thā to gayā kyoñ sū-e-dasht
hote haiñ kū-e-sanam ke dar-o-dīvār aziiz
dil-e-jāñ-bāz ko bhī abrū-e-qātil hai pasand
jis tarah mard sipāhī ko ho talvār aziiz
fitna-e-ishq meñ kyā shān-e-sar-afrāzī hai
ki chaḌhāte haiñ azīzoñ ko sar-e-dār aziiz
daulat-e-husn ġhulāmoñ ko banātī hai shaah
tohmat-e-ishq se hote haiñ subuksār aziiz
terī shāmat hai 'zakī' baiThe-baiThā.e tū ne
kyoñ hasīnoñ ko diyā dil ki huā ḳhvār aziiz
hum ko dildar aziz apna dil-e-zar aziz
den na den jins-e-aziz aur KHaridar aziz
KHwar rah kar hue barson mein wafadar aziz
tul-e-azar se hote hain ye bimar aziz
is qadar kyon hai KHuda ishq ka aazar aziz
mubtala is mein hamesha rahe do-chaar aziz
kabhi zindan se nikalne nahin deta bahar
pasban ko hain magar is ke giraftar aziz
ye sabab raunaq-e-dil ke wo mataa-e-bazar
yusuf-e-dil hue ya yusuf-e-bazar aziz
allah allah buton ka wo tabaKHtur wo ghurur
kis ke hain un ke siwa naKHwat-o-pindar aziz
kafir-e-ishq-e-butan hun yahi mazhab hai mera
surat-e-rishta-e-jaan hai mujhe zunnar aziz
mujhe ai nala teri be-asari hai manzur
rah mere dil mein ki hai KHatir-e-dildar aziz
ye mujhe kucha-e-jaanan se uTha late hain
dost jo karte hain karna nahin zinhaar aziz
qais diwana nahin tha to gaya kyon su-e-dasht
hote hain ku-e-sanam ke dar-o-diwar aziz
dil-e-jaan-baz ko bhi abru-e-qatil hai pasand
jis tarah mard sipahi ko ho talwar aziz
fitna-e-ishq mein kya shan-e-sar-afraazi hai
ki chaDhate hain azizon ko sar-e-dar aziz
daulat-e-husn ghulamon ko banati hai shah
tohmat-e-ishq se hote hain subuksar aziz
teri shamat hai 'zaki' baiThe-baiThae tu ne
kyon hasinon ko diya dil ki hua KHwar aziz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.