hum ko hasrat na rahi nashsha-e-baada karte
ham ko hasrat na rahī nashsha-e-bāda karte
haañ magar jiine kā bharpūr irāda karte
mere kashkol meñ ḳhairāt-e-vafā dī to magar
kaash tum dil ko zarā aur kushāda karte
zindagī toḌ ga.ī lag ke hameñ fikr-e-ma'āsh
vo na hotī to tumheñ 'ishq ziyāda karte
chūmte log nigāhoñ se hameñ bhī aksar
kuchh hasīñ zeb-e-badan garche labāda karte
aap ke aane na aane kī koī baat nahīñ
baat to ye thī nibhā lete jo vā'da karte
ham ne raushan to kiye aap kī rāhoñ meñ sadā
aañkh hotī to charāġhoñ se ifāda karte
jazb hote na kahīñ āb-e-pashemāñ ho kar
ham jo safhāt-e-guzishta kā i'āda karte
kuchh to shā.eq kī jhalak aap meñ aatī 'gauhar'
apne andāz-e-taḳhātub ko jo saada karte
hum ko hasrat na rahi nashsha-e-baada karte
han magar jine ka bharpur irada karte
mere kashkol mein KHairaat-e-wafa di to magar
kash tum dil ko zara aur kushada karte
zindagi toD gai lag ke hamein fikr-e-ma'ash
wo na hoti to tumhein 'ishq ziyaada karte
chumte log nigahon se hamein bhi aksar
kuchh hasin zeb-e-badan garche labaada karte
aap ke aane na aane ki koi baat nahin
baat to ye thi nibha lete jo wa'da karte
hum ne raushan to kiye aap ki rahon mein sada
aankh hoti to charaghon se ifada karte
jazb hote na kahin aab-e-pasheman ho kar
hum jo safhat-e-guzishta ka i'ada karte
kuchh to shaeq ki jhalak aap mein aati 'gauhar'
apne andaz-e-taKHatub ko jo sada karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.