hum ko is ka bhi kuchh gila na hua
ham ko is kā bhī kuchh gilā na huā
koī va.ada vafā huā na huā
aap kā kaun sā kahā na huā
merī qismat kā jo likhā na huā
umr bhar kī qazā adā hotī
farz aisā koī adā na huā
maiñ ne minnat bhī kī ḳhushāmad bhī
us pe lekin asar zarā na huā
ātish-e-hijr meñ jalā barsoñ
dil magar phir bhī kaam kā na huā
ḳhūgar-e-ġham bane bhī ham to kyā
dil hī jab dard-āshnā na huā
ye bhī ik ittifāq thā shāyad
zaḳhm-e-dil phir koī harā na huā
ham se tauba-shikan kahāñ hoñge
bāb-e-rahmat kahīñ jo vā na huā
aap 'zamzam' bane sabhī ke magar
is pe bhī koī aap kā na huā
hum ko is ka bhi kuchh gila na hua
koi wada wafa hua na hua
aap ka kaun sa kaha na hua
meri qismat ka jo likha na hua
umr bhar ki qaza ada hoti
farz aisa koi ada na hua
main ne minnat bhi ki KHushamad bhi
us pe lekin asar zara na hua
aatish-e-hijr mein jala barson
dil magar phir bhi kaam ka na hua
KHugar-e-gham bane bhi hum to kya
dil hi jab dard-ashna na hua
ye bhi ek ittifaq tha shayad
zaKHm-e-dil phir koi hara na hua
hum se tauba-shikan kahan honge
bab-e-rahmat kahin jo wa na hua
aap 'zamzam' bane sabhi ke magar
is pe bhi koi aap ka na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.