hum ko kafi nahin bas shaKH se jhaDne ka sukun
ham ko kaafī nahīñ bas shāḳh se jhaḌne kā sukūn
chāhiye pattoñ ko bas miTTī meñ saḌne kā sukūn
saare chhūTe hue hāthoñ kī vo bharpā.ī hai
sāmne sab ke tire haath pakaḌne kā sukūn
kaafī kam hotī hai ab baat ke banñe kī ḳhushī
ab mujhe hotā hai bas baat bigaḌne kā sukūn
mausam-e-hijr meñ har baar kisī se milnā
mausam-e-‘ishq meñ phir us se bichhaḌne kā sukūn
yuuñ mohabbat se mujhe dekhnā us kā aur phir
logoñ kī āñkhoñ meñ is baat ke gaḌhne kā sukūn
ham musāfir haiñ hamārī ḳhushī ghar meñ nahīñ hai
bas ga.e to hameñ yaad aaya ujaḌne kā sukūn
ab na jhagḌe na shikāyat na koī bahs 'kunāl'
haa.e us shaḳhs se har baat pe laḌne kā sukūn
hum ko kafi nahin bas shaKH se jhaDne ka sukun
chahiye patton ko bas miTTi mein saDne ka sukun
sare chhuTe hue hathon ki wo bharpai hai
samne sab ke tere hath pakaDne ka sukun
kafi kam hoti hai ab baat ke banne ki KHushi
ab mujhe hota hai bas baat bigaDne ka sukun
mausam-e-hijr mein har bar kisi se milna
mausam-e-‘ishq mein phir us se bichhaDne ka sukun
yun mohabbat se mujhe dekhna us ka aur phir
logon ki aankhon mein is baat ke gaDhne ka sukun
hum musafir hain hamari KHushi ghar mein nahin hai
bas gae to hamein yaad aaya ujaDne ka sukun
ab na jhagDe na shikayat na koi bahs 'kunal'
hae us shaKHs se har baat pe laDne ka sukun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.