hum ko kabhi bulaen kabhi aap aaiye
ham ko kabhī bulā.eñ kabhī aap aa.iye
aapas meñ mel-jol kā rishta banā.iye
rāh-e-hayāt dekh ke ghabrā rahe haiñ kyoñ
himmat juTā ke aap qadam to baḌhā.iye
mumkin hai ek roz mohabbat ho aap ko
lekin ye apne dil se 'adāvat miTā.iye
kaste haiñ dūsroñ ko kasauTī pe jis tarah
vaise hī kas ke ḳhud ko kabhī āzmā.iye
be-shak na.e diyoñ kī himāyat kareñ magar
bujhte hue charāġh ko pahle bachā.iye
shām-o-sahar ke kaam se fursat nikāl kar
giit aap zindagī kā kabhī gungunā.iye
hum ko kabhi bulaen kabhi aap aaiye
aapas mein mel-jol ka rishta banaiye
rah-e-hayat dekh ke ghabra rahe hain kyon
himmat juTa ke aap qadam to baDhaiye
mumkin hai ek roz mohabbat ho aap ko
lekin ye apne dil se 'adawat miTaiye
kaste hain dusron ko kasauTi pe jis tarah
waise hi kas ke KHud ko kabhi aazmaiye
be-shak nae diyon ki himayat karen magar
bujhte hue charagh ko pahle bachaiye
sham-o-sahar ke kaam se fursat nikal kar
git aap zindagi ka kabhi gungunaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.