hum ko kiya hai waqt ne majbur kya karen
ham ko kiyā hai vaqt ne majbūr kyā kareñ
is vāste haiñ aap se ham duur kyā kareñ
ḳhud ko is anjuman meñ vo mash.hūr kyā kareñ
duniyā hai kam-nasīboñ kī be-nūr kyā kareñ
ḳhūn-e-shu.ūr ḳhūn-e-vafā ḳhūn-e-ārzū
jalne lage haiñ sūrat-e-nāsūr kyā kareñ
daulat kā sikka chaltā hai saare hī shahr meñ
nādār kyā kareñ yahāñ majbūr kyā kareñ
pahle hī be-hijāb nazar aa rahe haiñ vo
un ko dil-o-nigāh meñ mastūr kyā kareñ
ḳhāmosh is ḳhayāl se baiThe haiñ bazm meñ
rūdād-e-ġham se aap ko ranjūr kyā kareñ
puurī ho kis tarah dil-e-muztar kī aarzū
badlā hai husn-o-ishq kā dastūr kyā kareñ
rāhat kī baat kis tarah aa.e zabān par
baḌhne lage haiñ qalb ke nāsūr kyā kareñ
bār-e-ġham-e-hayāt uThā to liyā magar
'qaisar' haiñ apne vaqt se majbūr kyā kareñ
hum ko kiya hai waqt ne majbur kya karen
is waste hain aap se hum dur kya karen
KHud ko is anjuman mein wo mashhur kya karen
duniya hai kam-nasibon ki be-nur kya karen
KHun-e-shuur KHun-e-wafa KHun-e-arzu
jalne lage hain surat-e-nasur kya karen
daulat ka sikka chalta hai sare hi shahr mein
nadar kya karen yahan majbur kya karen
pahle hi be-hijab nazar aa rahe hain wo
un ko dil-o-nigah mein mastur kya karen
KHamosh is KHayal se baiThe hain bazm mein
rudad-e-gham se aap ko ranjur kya karen
puri ho kis tarah dil-e-muztar ki aarzu
badla hai husn-o-ishq ka dastur kya karen
rahat ki baat kis tarah aae zaban par
baDhne lage hain qalb ke nasur kya karen
bar-e-gham-e-hayat uTha to liya magar
'qaisar' hain apne waqt se majbur kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.