hum ko kuchh yaad nahin tere siwa bhul gae
ham ko kuchh yaad nahīñ tere sivā bhuul ga.e
apnī sūrat hī nahīñ apnī sadā bhuul ga.e
kūcha-e-chashm ke sab naqsh o navā bhuul ga.e
ham pe vo vaqt paḌā shor-e-anā bhuul ga.e
maiñ akelā hī rahā barg-o-samar se ḳhālī
mausam-e-gul meñ mujhe mere ḳhudā bhuul ga.e
maut aur hijr-e-musalsal meñ koī farq nahīñ
tū to phir tū hai ham apnī vafā bhuul ga.e
ab ke yuuñ raakh huā manzar-e-āhū-chashmāñ
dasht ai dasht tirī pichhlī havā bhuul ga.e
itnā bikhrā huā lahja yahāñ 'lutf-ur-rahmān'
aap bhī apnī vo kuchh tarz-e-adā bhuul ga.e
hum ko kuchh yaad nahin tere siwa bhul gae
apni surat hi nahin apni sada bhul gae
kucha-e-chashm ke sab naqsh o nawa bhul gae
hum pe wo waqt paDa shor-e-ana bhul gae
main akela hi raha barg-o-samar se KHali
mausam-e-gul mein mujhe mere KHuda bhul gae
maut aur hijr-e-musalsal mein koi farq nahin
tu to phir tu hai hum apni wafa bhul gae
ab ke yun rakh hua manzar-e-ahu-chashman
dasht ai dasht teri pichhli hawa bhul gae
itna bikhra hua lahja yahan 'lutf-ur-rahman'
aap bhi apni wo kuchh tarz-e-ada bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.