hum ko kya baat kar nahin aati
ham ko kyā baat kar nahīñ aatī
haañ agar aur magar nahīñ aatī
us ke milne kī kyā karūñ sūrat
koī sūrat nazar nahīñ aatī
aate jaate haiñ rāt-din din-rāt
shab-e-ġham kī sahar nahīñ aatī
aabrū bhī hai aab motī ke
jā ke bār-e-digar nahīñ aatī
baḌh ke bolo kabhī na bol baḌā
bad-ghaḌī bol kar nahīñ aatī
kaisī pāband vaqt kī hai ajal
vaqt se peshtar nahīñ aatī
hai nazar dūsroñ ke aiboñ par
khoT apnī nazar nahīñ aatī
be-ḳhabar apne haal se huuñ 'atā'
koī us kī ḳhabar nahīñ aatī
hum ko kya baat kar nahin aati
han agar aur magar nahin aati
us ke milne ki kya karun surat
koi surat nazar nahin aati
aate jate hain raat-din din-raat
shab-e-gham ki sahar nahin aati
aabru bhi hai aab moti ke
ja ke bar-e-digar nahin aati
baDh ke bolo kabhi na bol baDa
bad-ghaDi bol kar nahin aati
kaisi paband waqt ki hai ajal
waqt se peshtar nahin aati
hai nazar dusron ke aibon par
khoT apni nazar nahin aati
be-KHabar apne haal se hun 'ata'
koi us ki KHabar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.