hum ko na mila is liye aaram abhi tak
ham ko na milā is liye ārām abhī tak
badlā na ruḳh-e-gardish-e-ayyām abhī tak
allāh tirī shān-e-karīmī ke maiñ sadqe
bantā hī rahā ḳhair se har kaam abhī tak
tadbīr na kaam aa.ī koī bād-e-sabā kī
ruḳh se na haTī zulf-e-siyah-fām abhī tak
mahrūm huuñ saaqī maiñ terī chashm-e-karam se
mujh ko na milā bazm meñ ik jaam abhī tak
bahlātā huuñ de kar dil-e-muztar ko tasallī
kaTtī hai yūñhī apnī sahar shaam abhī tak
ādāb-e-mohabbat se jo vāqif hī nahīñ the
haiñ kūcha-o-bāzār meñ badnām abhī tak
samjhā thā 'rafīq' apnā jinheñ maiñ ne jahāñ meñ
aayā na musībat meñ koī kaam abhī tak
hum ko na mila is liye aaram abhi tak
badla na ruKH-e-gardish-e-ayyam abhi tak
allah teri shan-e-karimi ke main sadqe
banta hi raha KHair se har kaam abhi tak
tadbir na kaam aai koi baad-e-saba ki
ruKH se na haTi zulf-e-siyah-fam abhi tak
mahrum hun saqi main teri chashm-e-karam se
mujh ko na mila bazm mein ek jam abhi tak
bahlata hun de kar dil-e-muztar ko tasalli
kaTti hai yunhi apni sahar sham abhi tak
aadab-e-mohabbat se jo waqif hi nahin the
hain kucha-o-bazar mein badnam abhi tak
samjha tha 'rafiq' apna jinhen main ne jahan mein
aaya na musibat mein koi kaam abhi tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.