hum ko nahin hai dost teri zat ka gila
ham ko nahīñ hai dost terī zaat kā gila
ham kar rahe haiñ gardish-e-hālāt kā gila
pal bhar ke vāste dil agar Dūbtā lage
rahtā nahīñ hai phir bhī kisī baat kā gila
jo bhī qadam uThā vo tire izn par uThā
ham kar rahe haiñ apnī hī auqāt kā gila
dil ne ḳhud apne aap ko samjhāyā bārhā
jab bhī kiyā hai terī ināyāt kā gila
har shai ko dekh saktīñ ye āñkhoñ meñ bal kahāñ
andhe ko kaise ho bhalā din raat kā gila
mil kar bhī in diloñ meñ rahī ik na ik kasak
hoñToñ pe aaya jab bhī mulāqāt kā gila
ye jaan kar ki merā asāsa haiñ chaar phuul
kartā hai kyoñ ġharīb se sauġhāt kā gila
hum ko nahin hai dost teri zat ka gila
hum kar rahe hain gardish-e-haalat ka gila
pal bhar ke waste dil agar Dubta lage
rahta nahin hai phir bhi kisi baat ka gila
jo bhi qadam uTha wo tere izn par uTha
hum kar rahe hain apni hi auqat ka gila
dil ne KHud apne aap ko samjhaya barha
jab bhi kiya hai teri inayat ka gila
har shai ko dekh saktin ye aankhon mein bal kahan
andhe ko kaise ho bhala din raat ka gila
mil kar bhi in dilon mein rahi ek na ek kasak
honTon pe aaya jab bhi mulaqat ka gila
ye jaan kar ki mera asasa hain chaar phul
karta hai kyon gharib se saughat ka gila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.