hum ko shikasta-haal ke dukh bhogne paDe
ham ko shikasta-hāl ke dukh bhogne paḌe
ya.anī tere visāl ke dukh bhogne paḌe
har saal tujh se dūriyāñ baḌhtī chalī ga.iiñ
ham ko har ek saal ke dukh bhogne paḌe
apne javāb par hameñ sharmindagī huī
lekin tire savāl ke dukh bhogne paḌe
pahle to ham ne us kī bahut dekh-bhāl kī
phir us kī dekh-bhāl ke dukh bhogne paḌe
har dukh ke ba.ad yuuñ lagā ye dukh to kuchh nahīñ
socho ki kyā kamāl ke dukh bhogne paḌe
hum ko shikasta-haal ke dukh bhogne paDe
yani tere visal ke dukh bhogne paDe
har sal tujh se duriyan baDhti chali gain
hum ko har ek sal ke dukh bhogne paDe
apne jawab par hamein sharmindagi hui
lekin tere sawal ke dukh bhogne paDe
pahle to hum ne us ki bahut dekh-bhaal ki
phir us ki dekh-bhaal ke dukh bhogne paDe
har dukh ke baad yun laga ye dukh to kuchh nahin
socho ki kya kamal ke dukh bhogne paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.