hum ko tanhai hi tanhai nazar aati hai
ham ko tanhā.ī hī tanhā.ī nazar aatī hai
jo tumheñ anjuman-ārā.ī nazar aatī hai
is liye dil ke hare zaḳhm hue haiñ shāyad
chashm-e-ehsās ko purvā.ī nazar aatī hai
aap ke sher meñ alfāz to jaise hoñ magar
aap ke sher meñ gahrā.ī nazar aatī hai
is liye aur bhī suntā huuñ unheñ ġhaur se maiñ
un kī har baat meñ gīrā.ī nazar aatī hai
merī hālat ke faqat aap tamāshā.ī nahīñ
saarī duniyā hī tamāshā.ī nazar aatī hai
vo khulī āñkhoñ meñ bīnā.ī kahāñ se aa.e
band āñkhoñ meñ jo bīnā.ī nazar aatī hai
aap mahfil meñ jo ḳhāmosh rahā karte haiñ
is meñ bhī aap kī dānā.ī nazar aatī hai
pahle tanhā.ī bhī mahfil kā maza detī thī
aaj mahfil meñ bhī tanhā.ī nazar aatī hai
aap ko sher nazar aate haiñ lekin 'muḳhtār'
ham ko ye qāfiya-paimā.ī nazar aatī hai
hum ko tanhai hi tanhai nazar aati hai
jo tumhein anjuman-arai nazar aati hai
is liye dil ke hare zaKHm hue hain shayad
chashm-e-ehsas ko purwai nazar aati hai
aap ke sher mein alfaz to jaise hon magar
aap ke sher mein gahrai nazar aati hai
is liye aur bhi sunta hun unhen ghaur se main
un ki har baat mein girai nazar aati hai
meri haalat ke faqat aap tamashai nahin
sari duniya hi tamashai nazar aati hai
wo khuli aankhon mein binai kahan se aae
band aankhon mein jo binai nazar aati hai
aap mahfil mein jo KHamosh raha karte hain
is mein bhi aap ki danai nazar aati hai
pahle tanhai bhi mahfil ka maza deti thi
aaj mahfil mein bhi tanhai nazar aati hai
aap ko sher nazar aate hain lekin 'muKHtar'
hum ko ye qafiya-paimai nazar aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.