Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ko to KHair pahunchna tha jahan tak pahunche

Kaleem Aajiz

hum ko to KHair pahunchna tha jahan tak pahunche

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    ham ko to ḳhair pahuñchnā thā jahāñ tak pahuñche

    jo hameñ rok rahe the vo kahāñ tak pahuñche

    fasl-e-gul tak rahe daur-e-ḳhizāñ tak pahuñche

    baat jab niklī hai muñh se to jahāñ tak pahuñche

    mere ash.ār meñ hai husn-e-ma.ānī talāsh

    log ab tak na mire dard-e-nihāñ tak pahuñche

    mujh ko rahne do mire dard lazzat meñ ḳhamosh

    ye vo afsāna nahīñ hai jo zabāñ tak pahuñche

    terī zulfoñ ghanī chhāñv kise miltī hai

    kis taqdīr-e-rasā hai ki vahāñ tak pahuñche

    manzil-e-dār-o-rasan bhī hai ruḳh-o-zulf ke ba.ad

    dekhiye shauq hameñ le ke kahāñ tak pahuñche

    tarjumāñ apnā banāyā hai mujhe rindoñ ne

    kaash āvāz mirī pīr-e-muġhāñ tak pahuñche

    aap ke mashġhalā-e-sher-o-suḳhan se 'ājiz'

    kaam to kuchh na huā naam jahāñ tak pahuñche

    hum ko to KHair pahunchna tha jahan tak pahunche

    jo hamein rok rahe the wo kahan tak pahunche

    fasl-e-gul tak rahe ya daur-e-KHizan tak pahunche

    baat jab nikli hai munh se to jahan tak pahunche

    mere ashaar mein hai husn-e-maani ki talash

    log ab tak na mere dard-e-nihan tak pahunche

    mujh ko rahne do mere dard ki lazzat mein KHamosh

    ye wo afsana nahin hai jo zaban tak pahunche

    teri zulfon ki ghani chhanw kise milti hai

    kis ki taqdir-e-rasa hai ki wahan tak pahunche

    manzil-e-dar-o-rasan bhi hai ruKH-o-zulf ke baad

    dekhiye shauq hamein le ke kahan tak pahunche

    tarjuman apna banaya hai mujhe rindon ne

    kash aawaz meri pir-e-mughan tak pahunche

    aap ke mashghala-e-sher-o-suKHan se 'ajiz'

    kaam to kuchh na hua nam jahan tak pahunche

    Source :
    • Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 141)
    • Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
    • Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990)
    • Edition : 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now