hum ko to rabt-e-KHas hai dar-o-rasan ke sath
ham ko to rabt-e-ḳhās hai dār-o-rasan ke saath
jiine kī aarzū hai magar bāñkpan ke saath
dil meñ hamāre shauq hai ġham hai umiid hai
sahrā-navardiyāñ haiñ magar anjuman ke saath
hairat se barhamī kī adā dekhte rahe
kitnī kahāniyāñ thī jabīñ par shikan ke saath
ab ḳhairiyat kahāñ hai nigāh-e-shu.ūr kī
uljhī huī hai zulf-e-shikan-dar-shikan ke saath
mere lahū kā rañg to rañg-e-shafaq nahīñ
tā-umr ye rahegā tire pairahan ke saath
un ke liye kahīñ bhī koī anjuman nahīñ
jin kā mizāj Dhaltā hai har anjuman ke saath
duniyā meñ kaun ham sā hai muhtāj-e-rahbarī
ghabrā ke chal diye haiñ jo ik rāhzan ke saath
jo kuchh bhī hai vo jaise isī zindagī meñ hai
duniyā barat rahe haiñ ham aise jatan ke saath
hum ko to rabt-e-KHas hai dar-o-rasan ke sath
jine ki aarzu hai magar bankpan ke sath
dil mein hamare shauq hai gham hai umid hai
sahra-nawardiyan hain magar anjuman ke sath
hairat se barhami ki ada dekhte rahe
kitni kahaniyan thi jabin par shikan ke sath
ab KHairiyat kahan hai nigah-e-shuur ki
uljhi hui hai zulf-e-shikan-dar-shikan ke sath
mere lahu ka rang to rang-e-shafaq nahin
ta-umr ye rahega tere pairahan ke sath
un ke liye kahin bhi koi anjuman nahin
jin ka mizaj Dhalta hai har anjuman ke sath
duniya mein kaun hum sa hai muhtaj-e-rahbari
ghabra ke chal diye hain jo ek rahzan ke sath
jo kuchh bhi hai wo jaise isi zindagi mein hai
duniya barat rahe hain hum aise jatan ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.