hum ko tumko sab se pahle darmiyan rakkha gaya
ham ko tum ko sab se pahle darmiyāñ rakkhā gayā
phir kahīñ jā kar zamīñ par āsmāñ rakkhā gayā
yā'nī avval tum hamārī niiñv meñ rakkhe ga.e
yā'nī is buniyād par saarā jahāñ rakkhā gayā
kul milā kar bas isī ik baat kā dukh hai hameñ
ham yahāñ ke the hī kab ham ko yahāñ rakkhā gayā
ik sitam ye hai ki kuchh ham be-jabīñ rakkhe ga.e
ik sitam ye bhī ki but ko be-zabāñ rakkhā gayā
hum ko tum ko sab se pahle darmiyan rakkha gaya
phir kahin ja kar zamin par aasman rakkha gaya
ya'ni awwal tum hamari ninw mein rakkhe gae
ya'ni is buniyaad par sara jahan rakkha gaya
kul mila kar bas isi ek baat ka dukh hai hamein
hum yahan ke the hi kab hum ko yahan rakkha gaya
ek sitam ye hai ki kuchh hum be-jabin rakkhe gae
ek sitam ye bhi ki but ko be-zaban rakkha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.