hum ko waiz na bagh-e-iram chahiye
ham ko vaa.iz na bāġh-e-iram chāhiye
ek un kī nigāh-e-karam chāhiye
dahr ho yā ki ka.aba ho but-ḳhāna ho
kuchh bhī ho mujh ko apnā sanam chāhiye
dil hamesha hī jis meñ ulajhtā rahe
un kī zulfoñ ke vo pech-o-ḳham chāhiye
jis meñ apne sanam kā tasavvur na ho
vo ḳhushī chāhiye aur na ġham chāhiye
un kī baḳhshish kā koī Thikāna nahīñ
dāman-e-ma.asiyat apnā nam chāhiye
chashm-e-maigūñ se jis kī maiñ sarshār huuñ
haañ mujhe vo hī pīr-e-haram chāhiye
hum ko waiz na bagh-e-iram chahiye
ek un ki nigah-e-karam chahiye
dahr ho ya ki kaba ho but-KHana ho
kuchh bhi ho mujh ko apna sanam chahiye
dil hamesha hi jis mein ulajhta rahe
un ki zulfon ke wo pech-o-KHam chahiye
jis mein apne sanam ka tasawwur na ho
wo KHushi chahiye aur na gham chahiye
un ki baKHshish ka koi Thikana nahin
daman-e-masiyat apna nam chahiye
chashm-e-maigun se jis ki main sarshaar hun
han mujhe wo hi pir-e-haram chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.