hum log jis ghaDi tere halqe mein aa gae
hum log jis ghaDi tere halqe mein aa gae
Syed Wajih Ul Hassan Sherazi
MORE BYSyed Wajih Ul Hassan Sherazi
ham log jis ghaḌī tire halqe meñ aa ga.e
aisā lagā ki ḳhuld ke ḳhitte meñ aa ga.e
ham log vo haiñ jin pe javānī na aa sakī
ham log bachpane se buḌhāpe meñ aa ga.e
vo shaḳhs ham ko chhoḌ ke pīchhe haTā to ham
aflāk se zamīn pe lamhe meñ aa ga.e
duniyā faqat fareb hai dhokā hai dosto
bachche tabhī to rote haiñ dhoke meñ aa ga.e
un par nahīñ paḌā kabhī ḳhushiyoñ kā saaya phir
vo log jo kabhī mire saa.e meñ aa ga.e
har daur meñ ye 'ishq unheñ lūTtā rahā
har daur meñ ye 'ishq ke jhāñse meñ aa ga.e
jitne savāl ham ne kiye the faqīr se
sab ke javāb ek hī nuqte meñ aa ga.e
ḳhushiyāñ kisī ke hisse meñ aa.eñ tamām-tar
ranj-o-alam 'vajīh' ke hisse meñ aa ga.e
hum log jis ghaDi tere halqe mein aa gae
aisa laga ki KHuld ke KHitte mein aa gae
hum log wo hain jin pe jawani na aa saki
hum log bachpane se buDhape mein aa gae
wo shaKHs hum ko chhoD ke pichhe haTa to hum
aflak se zamin pe lamhe mein aa gae
duniya faqat fareb hai dhoka hai dosto
bachche tabhi to rote hain dhoke mein aa gae
un par nahin paDa kabhi KHushiyon ka saya phir
wo log jo kabhi mere sae mein aa gae
har daur mein ye 'ishq unhen luTta raha
har daur mein ye 'ishq ke jhanse mein aa gae
jitne sawal hum ne kiye the faqir se
sab ke jawab ek hi nuqte mein aa gae
KHushiyan kisi ke hisse mein aaen tamam-tar
ranj-o-alam 'wajih' ke hisse mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.