hum log jo KHak chhante hain
ham log jo ḳhaak chhānte haiñ
miTTī se guhar nikālte haiñ
hai sho.ala-e-dīñ ki sham-e-kufr
parvāne kahāñ ye jānte haiñ
is gumbad-e-be-sadā meñ ham log
alfāz ke but tarāshte haiñ
ai saya-e-abr ab to ruk jā
ik umr se dhuup kāTte haiñ
hum log jo KHak chhante hain
miTTi se guhar nikalte hain
hai shoala-e-din ki sham-e-kufr
parwane kahan ye jaante hain
is gumbad-e-be-sada mein hum log
alfaz ke but tarashte hain
ai saya-e-abr ab to ruk ja
ek umr se dhup kaTte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.