hum na kahenge KHud hi batao kya ye achchha karte ho
ham na kaheñge ḳhud hī batāo kyā ye achchhā karte ho
phuul se nāzuk jism ke andar patthar sā dil rakhte ho
tum se bichhaḌ kar mar jā.ūñgā yā pāgal ho jā.ūñgā
mujh se judā ho kar tum bhī ārām se kab rah sakte ho
ek se baḌh kar ek hasīñ haiñ chehre aur bhī duniyā meñ
āḳhir mujh ko ik tum hī kyoñ sab se achchhe lagte ho
chalte ho to bād-e-sabā bhī saath tumhāre chaltī hai
phuul baraste haiñ hoñToñ se jab tum bāteñ karte ho
ik maiñ huuñ jo ġham meñ tumhāre ḳhuun ke aañsū rotā huuñ
ik tum ho jo mujh ko pāgal jaan ke mujh par hañste ho
aap hī aap khiñchā jaatā hai dil kambaḳht tumhārī or
āḳhir mujh par o jādūgar kyā jaadū kar baiThe ho
maiñ huuñ ik badnām-e-zamāna dekho mere saath na aao
ho jāoge muft meñ rusvā kyoñ nādānī karte ho
lagtā hai tum ne bhī kahīñ par zaḳhm-e-mohabbat khāyā hai
tab hī to itne gum-sum aur kho.e kho.e rahte ho
'tābish' ye kyā pāgal-pan hai yaad meñ ik harjā.ī ke
saarī duniyā soī hai tum baiThe taare ginte ho
hum na kahenge KHud hi batao kya ye achchha karte ho
phul se nazuk jism ke andar patthar sa dil rakhte ho
tum se bichhaD kar mar jaunga ya pagal ho jaunga
mujh se juda ho kar tum bhi aaram se kab rah sakte ho
ek se baDh kar ek hasin hain chehre aur bhi duniya mein
aaKHir mujh ko ek tum hi kyon sab se achchhe lagte ho
chalte ho to baad-e-saba bhi sath tumhaare chalti hai
phul baraste hain honTon se jab tum baaten karte ho
ek main hun jo gham mein tumhaare KHun ke aansu rota hun
ek tum ho jo mujh ko pagal jaan ke mujh par hanste ho
aap hi aap khincha jata hai dil kambaKHt tumhaari or
aaKHir mujh par o jadugar kya jadu kar baiThe ho
main hun ek badnam-e-zamana dekho mere sath na aao
ho jaoge muft mein ruswa kyon nadani karte ho
lagta hai tum ne bhi kahin par zaKHm-e-mohabbat khaya hai
tab hi to itne gum-sum aur khoe khoe rahte ho
'tabish' ye kya pagal-pan hai yaad mein ek harjai ke
sari duniya soi hai tum baiThe tare ginte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.