hum na karte the nigah ek badan ki jaanib
ham na karte the nigah ek badan kī jānib
is liye der se aa.e haiñ suḳhan kī jānib
tere qāmat ko salāmat sadā allāh rakhe
ab nahīñ dekhte ham sarv saman kī jānib
phuul shāḳhoñ se zamīñ par na utar aa.eñ kahīñ
us ko jaate hue dekhā hai chaman kī jānib
ye tasavvur hī tasallī mujhe detā hai 'figār'
chhuTTīyāñ hoñgī to jā.ūñgā hasan kī jānib
hum na karte the nigah ek badan ki jaanib
is liye der se aae hain suKHan ki jaanib
tere qamat ko salamat sada allah rakhe
ab nahin dekhte hum sarw saman ki jaanib
phul shaKHon se zamin par na utar aaen kahin
us ko jate hue dekha hai chaman ki jaanib
ye tasawwur hi tasalli mujhe deta hai 'figar'
chhuTTiyan hongi to jaunga hasan ki jaanib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.