hum na pyase hain na pani ke liye aae hain
ham na pyāse haiñ na paanī ke liye aa.e haiñ
tere hamrāh ravānī ke liye aa.e haiñ
ohda-e-ishq se barḳhāst ham is duniyā meñ
ḳhaak kī ḳhuld-makānī ke liye aa.e haiñ
mahfil-e-hāl meñ kal mazī-o-mustaqbil aa.e
aur kahā marsiya-ḳhvānī ke liye aa.e haiñ
qissa-go niiñd nahīñ aa.ī bahut din se hameñ
tire paas ek kahānī ke liye aa.e haiñ
zindagī chup na karā un ko ki bechāre ye jism
chand din charb-zabānī ke liye aa.e haiñ
'farhat-ehsās' ko ḳhāmosh na hone denā
ki miyāñ sidq-bayānī ke liye aa.e haiñ
hum na pyase hain na pani ke liye aae hain
tere hamrah rawani ke liye aae hain
ohda-e-ishq se barKHast hum is duniya mein
KHak ki KHuld-makani ke liye aae hain
mahfil-e-haal mein kal mazi-o-mustaqbil aae
aur kaha marsiya-KHwani ke liye aae hain
qissa-go nind nahin aai bahut din se hamein
tere pas ek kahani ke liye aae hain
zindagi chup na kara un ko ki bechaare ye jism
chand din charb-zabani ke liye aae hain
'farhat-ehsas' ko KHamosh na hone dena
ki miyan sidq-bayani ke liye aae hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 101)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.