hum na-shanas-e-rah the sab se juda chale
ham nā-shanās-e-rāh the sab se judā chale
par apnī justujū meñ zamāne ko pā chale
ab kuchh nahīñ hai paas na ‘ibrat na ishtiyāq
thī ik matā’-e-hosh so vo bhī gañvā chale
terī kasāfatoñ se kisī ko ġharaz na thī
ai zindagī ye baar bhī ham hī uThā chale
ab raushnī bhī ziist kā maqsad nahīñ rahī
jaltā huuñ is ġharaz se ki shāyad havā chale
chhū kar mujhe na dekh ki ye maiñ nahīñ huuñ dost
ik baar mujh ko toḌ ki merā pata chale
ye kaisī chup lagī hai ki but ban gayā huuñ maiñ
māyūs ho ke mujh se mire ham-navā chale
anjān ghāTiyoñ kā safar aur añdherī raat
chalnā ho jis ko saath vo mere chalā chale
hum na-shanas-e-rah the sab se juda chale
par apni justuju mein zamane ko pa chale
ab kuchh nahin hai pas na ‘ibrat na ishtiyaq
thi ek mata’-e-hosh so wo bhi ganwa chale
teri kasafaton se kisi ko gharaz na thi
ai zindagi ye bar bhi hum hi uTha chale
ab raushni bhi zist ka maqsad nahin rahi
jalta hun is gharaz se ki shayad hawa chale
chhu kar mujhe na dekh ki ye main nahin hun dost
ek bar mujh ko toD ki mera pata chale
ye kaisi chup lagi hai ki but ban gaya hun main
mayus ho ke mujh se mere ham-nawa chale
anjaan ghaTiyon ka safar aur andheri raat
chalna ho jis ko sath wo mere chala chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.