ham-nafas ban kar jo sinon mein rahe
ham-nafas ban kar jo sīnoñ meñ rahe
aaj kyoñ vo nukta-chīnoñ meñ rahe
ek bhī armāñ na puurā ho sakā
lākhoñ armāñ dafn sīnoñ meñ rahe
enginoñ kī sīTiyāñ kab tak sune
aadmī kitnā mashīnoñ meñ rahe
ḳhuun kitne manzaroñ kā ho gayā
kitne chehre dūr-bīnoñ meñ rahe
kis liye insān jaa.e chāñd par
jab kashish baaqī zamīnoñ par rahe
ham-nafas ban kar jo sinon mein rahe
aaj kyon wo nukta-chinon mein rahe
ek bhi arman na pura ho saka
lakhon arman dafn sinon mein rahe
enginon ki siTiyan kab tak sune
aadmi kitna mashinon mein rahe
KHun kitne manzaron ka ho gaya
kitne chehre dur-binon mein rahe
kis liye insan jae chand par
jab kashish baqi zaminon par rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.