ham-nafas hai na ham-nashin koi
ham-nafas hai na ham-nashīñ koī
mahram-e-rāz-e-dil nahīñ koī
merī rūdād pūchhne vaale
mujh sā andoh-gīñ nahīñ koī
zaḳhm dil ne jahāñ-jahāñ khaa.e
yaad aaya vahīñ vahīñ koī
DhūñDhtā hai tamāzat-e-ġham meñ
sāya-e-zulf-e-ambarīñ koī
dil hai phir mubtalā-e-vahm-o-gumāñ
phir dilā.e mujhe yaqīñ koī
lā-makāñ hai fareb-e-fikr-o-nazar
ḳhalvat-e-dil meñ hai makīñ koī
baat dil kī zabāñ pe kyā aa.e
dil meñ baiThā hai nukta-chīñ koī
ashk-e-hasrat sameTne ko 'tufail'
mil hī jā.egī āstīñ koī
ham-nafas hai na ham-nashin koi
mahram-e-raaz-e-dil nahin koi
meri rudad puchhne wale
mujh sa andoh-gin nahin koi
zaKHm dil ne jahan-jahan khae
yaad aaya wahin wahin koi
DhunDhta hai tamazat-e-gham mein
saya-e-zulf-e-ambarin koi
dil hai phir mubtala-e-wahm-o-guman
phir dilae mujhe yaqin koi
la-makan hai fareb-e-fikr-o-nazar
KHalwat-e-dil mein hai makin koi
baat dil ki zaban pe kya aae
dil mein baiTha hai nukta-chin koi
ashk-e-hasrat sameTne ko 'tufail'
mil hi jaegi aastin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.