ham-nafas kya kahun kya kya shab-e-hijran dekha
ham-nafas kyā kahūñ kyā kyā shab-e-hijrāñ dekhā
maut to dekhī nahīñ maut kā sāmāñ dekhā
dil ke har dāġh-e-mohabbat ko farozāñ dekhā
ham ne ghar baiThe hue lutf-e-charāġhāñ dekhā
kā’ba-o-dair ga.e DhūñDne nā-fahmī thī
un ko dekhā bhī to nazdīk-e-rag-e-jāñ dekhā
naale bezār asar se haiñ asar naale se
dost ko dost kā dushman shab-e-hijrāñ dekhā
vo dil-e-zār ho merā ki ho sham’-e-sozāñ
jis ko dekhā tirī mahfil meñ pareshāñ dekhā
phir bahār aa.ī ḳhizāñ-dīda chaman meñ sad-shukr
aaj phir 'rāfat'-e-mahzūñ ko ġhazal-ḳhvāñ dekhā
ham-nafas kya kahun kya kya shab-e-hijran dekha
maut to dekhi nahin maut ka saman dekha
dil ke har dagh-e-mohabbat ko farozan dekha
hum ne ghar baiThe hue lutf-e-charaghan dekha
ka’ba-o-dair gae DhunDne na-fahmi thi
un ko dekha bhi to nazdik-e-rag-e-jaan dekha
nale bezar asar se hain asar nale se
dost ko dost ka dushman shab-e-hijran dekha
wo dil-e-zar ho mera ki ho sham’-e-sozan
jis ko dekha teri mahfil mein pareshan dekha
phir bahaar aai KHizan-dida chaman mein sad-shukr
aaj phir 'rafat'-e-mahzun ko ghazal-KHwan dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.