ham-nafas sayyaad jis din mehrban ho jaega
ham-nafas sayyaad jis din mehrban ho jaega
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
ham-nafas sayyād jis din mehrbāñ ho jā.egā
dekh lenā ye qafas bhī āshiyāñ ho jā.egā
tishna-lab sūfār dil meñ ḳhuun kā qatra nahīñ
ham se āzurda hamārā mehmāñ ho jā.egā
kyā zarūrat hai ki maiñ apnī zabāñ se kuchh kahūñ
ġhair kā merā kisī din imtihāñ ho jā.egā
kuchh dinoñ gar aur aisā hī hujūm-e-ġham rahā
ḳhātma ik roz chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ho jā.egā
jab.ha-sā.ī tere dar kī maiñ karūñgā sub.h-o-shām
ka.aba-e-maqsūd terā āstāñ ho jā.egā
tum ko dikhlā deñge gar badlī zamāne kī havā
ġhair kā qissa hamārī dāstāñ ho jā.egā
un se chhiḌ jā.eñgī bāteñ ranj kī shām-e-visāl
kyā ḳhabar thī dushman-e-jāñ āsmāñ ho jā.egā
chāhiye 'mas.ūd' kuchh zād-e-safar kī fikr bhī
chañd hī din meñ ravāna kārvāñ ho jā.egā
ham-nafas sayyaad jis din mehrban ho jaega
dekh lena ye qafas bhi aashiyan ho jaega
tishna-lab sufar dil mein KHun ka qatra nahin
hum se aazurda hamara mehman ho jaega
kya zarurat hai ki main apni zaban se kuchh kahun
ghair ka mera kisi din imtihan ho jaega
kuchh dinon gar aur aisa hi hujum-e-gham raha
KHatma ek roz chashm-e-KHun-fishan ho jaega
jabha-sai tere dar ki main karunga subh-o-sham
kaba-e-maqsud tera aastan ho jaega
tum ko dikhla denge gar badli zamane ki hawa
ghair ka qissa hamari dastan ho jaega
un se chhiD jaengi baaten ranj ki sham-e-visal
kya KHabar thi dushman-e-jaan aasman ho jaega
chahiye 'masud' kuchh zad-e-safar ki fikr bhi
chand hi din mein rawana karwan ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.