hum nahin honge yahan parchhaiyan rah jaengi
ham nahīñ hoñge yahāñ parchhā.iyāñ rah jā.eñgī
tazkire rah jā.eñge rusvā.iyāñ rah jā.eñgī
naġhma apnī TūTtī lai kī sadā ban jā.egā
mātamī dhun ke liye shahnā.iyāñ rah jā.eñgī
qahqahoñ ke mausamoñ kī qalb-e-sozāñ yaad meñ
aah bhartī chīḳhtī purvā.iyāñ rah jā.eñgī
ḳhaak meñ mil jā.egī sab qaisarī iskandarī
haath malne ke liye dārā.iyāñ rah jā.eñgī
uḌte panchhī apne apne des ko uḌ jā.eñge
duur tak phailī huī pahnā.iyāñ rah jā.eñgī
ḳhatm hoñgī raat kī rangīniyāñ ra.anā.iyāñ
sub.h-dam dam toḌtī añgḌā.iyāñ rah jā.eñgī
ik na ik din ham parāyoñ kī tarah ho jā.eñge
ham-navāoñ ke liye tanhā.iyāñ rah jā.eñgī
Dūbne vaale safīne yaad ā.eñge kise
yaad rahne ke liye gahrā.iyāñ rah jā.eñgī
āḳhir āḳhir nauha-e-nā-kāmrānī ke liye
hikmateñ rah jā.eñgī dānā.iyāñ rah jā.eñgī
lamha lamha le uḌegā in bahāroñ ko 'rishī'
shāḳh shāḳh ummīd kī amrā.iyāñ rah jā.eñgī
hum nahin honge yahan parchhaiyan rah jaengi
tazkire rah jaenge ruswaiyan rah jaengi
naghma apni TuTti lai ki sada ban jaega
matami dhun ke liye shahnaiyan rah jaengi
qahqahon ke mausamon ki qalb-e-sozan yaad mein
aah bharti chiKHti purwaiyan rah jaengi
KHak mein mil jaegi sab qaisari iskandari
hath malne ke liye daraiyan rah jaengi
uDte panchhi apne apne des ko uD jaenge
dur tak phaili hui pahnaiyan rah jaengi
KHatm hongi raat ki ranginiyan ranaiyan
subh-dam dam toDti angDaiyan rah jaengi
ek na ek din hum parayon ki tarah ho jaenge
ham-nawaon ke liye tanhaiyan rah jaengi
Dubne wale safine yaad aaenge kise
yaad rahne ke liye gahraiyan rah jaengi
aaKHir aaKHir nauha-e-na-kaamrani ke liye
hikmaten rah jaengi danaiyan rah jaengi
lamha lamha le uDega in bahaaron ko 'rishi'
shaKH shaKH ummid ki amraiyan rah jaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.