ham-nashin ab meri tanhai ki tanhai hai
ham-nashīñ ab mirī tanhā.ī kī tanhā.ī hai
ab shab-o-roz meñ had-darja shanāsā.ī hai
tujh se milne kī ḳhushī hai na bichhaḌne kā alam
zindagī mujh ko ye kis moḌ pe le aa.ī hai
har qadam aa.ina dīvāna huā jaatā hai
har jagah kis kā ye aks-e-ruḳh-e-zebā.ī hai
aaj phir zaḳhm mire dil kā lahū rotā hai
aaj phir un kī galī ho ke sabā aa.ī hai
chāhiye chashm-e-fusūñ-gar ko shahādat kitnī
zarra zarra mirī vahshat kā tamāshā.ī hai
apne pindār meñ mahsūr hai har ek 'qamar'
apne hī dar pe shab-o-roz jabīñ-sā.ī hai
ham-nashin ab meri tanhai ki tanhai hai
ab shab-o-roz mein had-darja shanasai hai
tujh se milne ki KHushi hai na bichhaDne ka alam
zindagi mujh ko ye kis moD pe le aai hai
har qadam aaina diwana hua jata hai
har jagah kis ka ye aks-e-ruKH-e-zebai hai
aaj phir zaKHm mere dil ka lahu rota hai
aaj phir un ki gali ho ke saba aai hai
chahiye chashm-e-fusun-gar ko shahadat kitni
zarra zarra meri wahshat ka tamashai hai
apne pindar mein mahsur hai har ek 'qamar'
apne hi dar pe shab-o-roz jabin-sai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.