ham-nashin kuchh to ilaj-e-dil-e-shaida kar de
ham-nashīñ kuchh to ilāj-e-dil-e-shaidā kar de
zindagī ko na mirī nazr-e-tamāshā kar de
jām-e-ulfat se mire lab ko shanāsā kar de
vaqf auroñ ke liye vus’at-e-dariyā kar de
āstānoñ ko to be-shak na kamī hai lekin
sajda-rezī kā junūñ tujh ko na rusvā kar de
dekh leñ apnī bhī āñkhoñ se vo anjām-e-sitam
kor-chashmoñ ko 'atā dīda-e-bīnā kar de
rakhiye ehsān na is chāragarī kā ham par
dil ke zaḳhmoñ ko jo kuchh aur bhī gahrā kar de
bhiik meñ māñge ujāloñ pe guzārā kab tak
is se behtar to yahī hai ki añdherā kar de
zahr kā jaam sahī bāda-e-rangīñ na sahī
tū agar chāhe to is ko bhī gavārā kar de
zard chehroñ pe bhī khil jaa.e gulistān-e-shabāb
terī duzdīda-nigāhī jo ishāra kar de
baar hai tujh pe jo zanjīr-e-ta'alluq ai dost
beḌiyāñ kaaT ke is qaid ko halkā kar de
garmī-e-fan se hunar-mandī-e-dast-e-fankār
saḳht patthar ko agar chāhe to shīsha kar de
miT hī jā.egī shab-e-ġham kī siyāhī 'bahzād'
dil ko raushan jo charāġh-e-ruḳh-e-zebā kar de
ham-nashin kuchh to ilaj-e-dil-e-shaida kar de
zindagi ko na meri nazr-e-tamasha kar de
jam-e-ulfat se mere lab ko shanasa kar de
waqf auron ke liye wus’at-e-dariya kar de
aastanon ko to be-shak na kami hai lekin
sajda-rezi ka junun tujh ko na ruswa kar de
dekh len apni bhi aankhon se wo anjam-e-sitam
kor-chashmon ko 'ata dida-e-bina kar de
rakhiye ehsan na is chaaragari ka hum par
dil ke zaKHmon ko jo kuchh aur bhi gahra kar de
bhik mein mange ujalon pe guzara kab tak
is se behtar to yahi hai ki andhera kar de
zahr ka jam sahi baada-e-rangin na sahi
tu agar chahe to is ko bhi gawara kar de
zard chehron pe bhi khil jae gulistan-e-shabab
teri duzdida-nigahi jo ishaara kar de
bar hai tujh pe jo zanjir-e-ta'alluq ai dost
beDiyan kaT ke is qaid ko halka kar de
garmi-e-fan se hunar-mandi-e-dast-e-fankar
saKHt patthar ko agar chahe to shisha kar de
miT hi jaegi shab-e-gham ki siyahi 'bahzad'
dil ko raushan jo charagh-e-ruKH-e-zeba kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.