ham-nashin zid na kar ahwal batane ke liye
ham-nashin zid na kar ahwal batane ke liye
Riyaz Hasan Khan Khayal
MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal
ham-nashīñ zid na kar ahvāl batāne ke liye
ġham chhupāne ke liye hai ki sunāne ke liye
dil milā siina milā jism milā jaan milī
daaġh khāne ke liye ranj uThāne ke liye
duur hī se vo mujhe dekh kar un kā kahnā
phir ye hazrat chale aate haiñ satāne ke liye
imtihāñ ishq-o-havas kā hai kal us mahfil meñ
ruq.e ab baTte haiñ jāñ-bāzoñ ke aane ke liye
chāhiye thā tire ushshāq ko dil do milte
ik tujhe dene ko ik naaz uThāne ke liye
ahd-e-farhād huā ham se to pahle varna
jaate kambaḳht kā ham haath baTāne ke liye
yahī behtar hai ki chupkā rahūñ jhagḌā chuk jaa.e
varna bāteñ haiñ bahut baat baḌhāne ke liye
hosh se kyoñ na ho pyārī mujhe ye be-hoshī
aa.e to laḳhlaḳha-e-zulf suñghāne ke liye
kar diyā ishq ne har shaḳhs se bad-zan mujh ko
ab kise bhejūñ vahāñ un ko bulāne ke liye
ai dil us ko bhī hai dar-parda mohabbat terī
sitam-o-jaur haiñ ġhairoñ ko dikhāne ke liye
ham se āshiq kī mohabbat nahīñ dekhī jaatī
us ne ye uzr nikālā hai na aane ke liye
chhoḌ kar va.az karo bāda-faroshī vaa.iz
peshe bahutere haiñ duniyā meñ kamāne ke liye
fā.eda aur to kuchh charḳh-e-sitamgar se nahīñ
ye hasīnoñ ko hai bedād sikhāne ke liye
ghar se kis be-ḳhudī-e-shauq meñ niklā hai 'ḳhayāl'
apne rūThe hue dilbar ko manāne ke liye
ham-nashin zid na kar ahwal batane ke liye
gham chhupane ke liye hai ki sunane ke liye
dil mila sina mila jism mila jaan mili
dagh khane ke liye ranj uThane ke liye
dur hi se wo mujhe dekh kar un ka kahna
phir ye hazrat chale aate hain satane ke liye
imtihan ishq-o-hawas ka hai kal us mahfil mein
ruqe ab baTte hain jaan-bazon ke aane ke liye
chahiye tha tere ushshaq ko dil do milte
ek tujhe dene ko ek naz uThane ke liye
ahd-e-farhad hua hum se to pahle warna
jate kambaKHt ka hum hath baTane ke liye
yahi behtar hai ki chupka rahun jhagDa chuk jae
warna baaten hain bahut baat baDhane ke liye
hosh se kyon na ho pyari mujhe ye be-hoshi
aae to laKHlaKHa-e-zulf sunghane ke liye
kar diya ishq ne har shaKHs se bad-zan mujh ko
ab kise bhejun wahan un ko bulane ke liye
ai dil us ko bhi hai dar-parda mohabbat teri
sitam-o-jaur hain ghairon ko dikhane ke liye
hum se aashiq ki mohabbat nahin dekhi jati
us ne ye uzr nikala hai na aane ke liye
chhoD kar waz karo baada-faroshi waiz
peshe bahutere hain duniya mein kamane ke liye
faeda aur to kuchh charKH-e-sitamgar se nahin
ye hasinon ko hai bedad sikhane ke liye
ghar se kis be-KHudi-e-shauq mein nikla hai 'KHayal'
apne ruThe hue dilbar ko manane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.