humne aa kar jahan mein kya dekha
ham ne aa kar jahāñ meñ kyā dekhā
us kī qudrat ko jā-ba-jā dekhā
aur dekhā to ham ne kyā dekhā
har taraf jalva-e-ḳhudā dekhā
jis ghaḌī aap ko fanā dekhā
us ghaḌī ḳhaas mudda.ā dekhā
nafī isbāt ko kiyā qaa.em
aap se phir na haq judā dekhā
zāt-e-pāk-e-janāb-e-ahmad ko
maz.har-e-nūr-e-kibriyā dekhā
Dar nahīñ naar kā mujhe hargiz
maiñ ne haidar sā peshvā dekhā
koī fāriġh nahīñ hai duniyā meñ
sabhī ko is meñ mubtalā dekhā
jo ki behosh ho ke baiTh rahe
un ko hushiyār bā-ḳhudā dekhā
ai tasavvur maiñ tujh pe huuñ qurbān
apne siine meñ dilrubā dekhā
kufr-o-islām ho ga.e vāzeh
zulf-o-ruḳh jabki yaar kā dekhā
chain dil ko nahīñ hai ai ‘be-gun’
jab se vo rū-e-pur-ziyā dekhā
hum ne aa kar jahan mein kya dekha
us ki qudrat ko ja-ba-ja dekha
aur dekha to hum ne kya dekha
har taraf jalwa-e-KHuda dekha
jis ghaDi aap ko fana dekha
us ghaDi KHas muddaa dekha
nafi isbaat ko kiya qaem
aap se phir na haq juda dekha
zat-e-pak-e-janab-e-ahmad ko
mazhar-e-nur-e-kibriya dekha
Dar nahin nar ka mujhe hargiz
main ne haidar sa peshwa dekha
koi farigh nahin hai duniya mein
sabhi ko is mein mubtala dekha
jo ki behosh ho ke baiTh rahe
un ko hushiyar ba-KHuda dekha
ai tasawwur main tujh pe hun qurban
apne sine mein dilruba dekha
kufr-o-islam ho gae wazeh
zulf-o-ruKH jabki yar ka dekha
chain dil ko nahin hai ai ‘be-gun’
jab se wo ru-e-pur-ziya dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.