humne aankh se dekha kitne suraj nikle Dub gae
ham ne aañkh se dekhā kitne sūraj nikle Duub ga.e
lekin tāroñ se pūchho kab nikle chamke Duub ga.e
do saa.e pahle ākāsh tale sāhil par baiThe the
lahroñ ne lipTānā chāhā aur bechāre Duub ga.e
peḌoñ par jo naam likhe the vo to ab bhī baaqī haiñ
lekin jitne bhī tālāb meñ patthar pheñke Duub ga.e
ūñche ghar ākāsh chhupā kar apne aap pe nāzāñ haiñ
chāroñ or khule ākāsh ke sūraj pīchhe Duub ga.e
ab to hameñ ik sher kā honā bhī nā-mumkin lagtā hai
ab to din kī niilī jhiil meñ raat ke taare Duub ga.e
hum ne aankh se dekha kitne suraj nikle Dub gae
lekin taron se puchho kab nikle chamke Dub gae
do sae pahle aakash tale sahil par baiThe the
lahron ne lipTana chaha aur bechaare Dub gae
peDon par jo nam likhe the wo to ab bhi baqi hain
lekin jitne bhi talab mein patthar phenke Dub gae
unche ghar aakash chhupa kar apne aap pe nazan hain
chaaron or khule aakash ke suraj pichhe Dub gae
ab to hamein ek sher ka hona bhi na-mumkin lagta hai
ab to din ki nili jhil mein raat ke tare Dub gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.