humne ai dost rifaqat se bhala kya paya
ham ne ai dost rifāqat se bhalā kyā paayā
jū-e-be-āb hai tū maiñ shajar-e-be-sāya
dard jo aql ke isrāf se bach rahtā hai
ishq ke qaht-zadoñ kā hai vahī sarmāyā
dīda-o-dil se guzartā hai koī shaḳhs aksar
jaise āhū-e-ramīda kā gurezāñ saayā
kal faqat gesū-e-barham the nishān-e-tashvīsh
aaj dekhā to unheñ aur pareshāñ paayā
husn se jab bhī chhiḌā mārka-e-dīda-o-dil
ḳhud mirā ishq mire madd-e-muqābil aayā
maiñ huuñ ḳhud apnī hī ḳhākistar-e-jāñ meñ madfūn
dafn ho jaise ḳharābe meñ koī sarmāyā
hum ne ai dost rifaqat se bhala kya paya
ju-e-be-ab hai tu main shajar-e-be-saya
dard jo aql ke israf se bach rahta hai
ishq ke qaht-zadon ka hai wahi sarmaya
dida-o-dil se guzarta hai koi shaKHs aksar
jaise aahu-e-ramida ka gurezan saya
kal faqat gesu-e-barham the nishan-e-tashwish
aaj dekha to unhen aur pareshan paya
husn se jab bhi chhiDa marka-e-dida-o-dil
KHud mera ishq mere madd-e-muqabil aaya
main hun KHud apni hi KHakistar-e-jaan mein madfun
dafn ho jaise KHarabe mein koi sarmaya
- Book : Hikayat-e-ne (Pg. 65)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est, krachis (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.