humne alfaz ghalat munh se nikale to nahin
ham ne alfāz ġhalat muñh se nikāle to nahīñ
sirf hāthoñ meñ rahe sang uchhāle to nahīñ
merī manzil ne mire azm pe yuuñ tanz kiyā
mere mushtāq tire paañv meñ chhāle to nahīñ
aap kī zaat meñ zahrīle anāsir kyoñ haiñ
mār-e-masmūm kabhī aap ne paale to nahīñ
koī mahtāb ugā.egā use māneñge
tīrgī hai abhī har samt ujāle to nahīñ
jin ke atvār haiñ shahbāz kī fitrat jaise
ye muhāfiz hī kahīñ lauTne vaale to nahīñ
ham to ajdād kī aġhlāt pe ḳhāmosh rahe
ab zabānoñ meñ na.ī nasl ke taale to nahīñ
un ke dāman meñ vahī ijz hai ab bhī ai 'shād'
jaise maġhrūr pujārī haiñ shivāle to nahīñ
hum ne alfaz ghalat munh se nikale to nahin
sirf hathon mein rahe sang uchhaale to nahin
meri manzil ne mere azm pe yun tanz kiya
mere mushtaq tere panw mein chhaale to nahin
aap ki zat mein zahrile anasir kyon hain
mar-e-masmum kabhi aap ne pale to nahin
koi mahtab ugaega use manenge
tirgi hai abhi har samt ujale to nahin
jin ke atwar hain shahbaz ki fitrat jaise
ye muhafiz hi kahin lauTne wale to nahin
hum to ajdad ki aghlat pe KHamosh rahe
ab zabanon mein nai nasl ke tale to nahin
un ke daman mein wahi ijz hai ab bhi ai 'shad'
jaise maghrur pujari hain shiwale to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.