humne arman-e-bahaaran na nikalte dekha
ham ne armān-e-bahārāñ na nikalte dekhā
baaġh ko bād-e-bahārī se bhī jalte dekhā
iltifāt-e-nigah-e-nāz se ho kar mahrūm
ham ne kis kis ko nigāheñ na badalte dekhā
jaam meñ 'aks-e-jamāl-e-ruḳh-e-sāqī thā ki aaj
chāñdnī raat meñ ḳhurshīd nikalte dekhā
ham ne andāz vafāoñ ke hazāroñ badle
rang bedād-garoñ kā na badalte dekhā
ḳhuld bhī jis ke na hone se jahannum hotī
shaiḳh sāhab ko usī chiiz se jalte dekhā
fāsloñ ke koī mā'nā hī mohabbat meñ nahīñ
chāñd ko bahr ke pahlū meñ machalte dekhā
ham se pūchho ġham-e-mahbūb kī lazzat ki 'adīb'
ham ne is zahr ko tāsīr badalte dekhā
hum ne arman-e-bahaaran na nikalte dekha
bagh ko baad-e-bahaari se bhi jalte dekha
iltifat-e-nigah-e-naz se ho kar mahrum
hum ne kis kis ko nigahen na badalte dekha
jam mein 'aks-e-jamal-e-ruKH-e-saqi tha ki aaj
chandni raat mein KHurshid nikalte dekha
hum ne andaz wafaon ke hazaron badle
rang bedad-garon ka na badalte dekha
KHuld bhi jis ke na hone se jahannum hoti
shaiKH sahab ko usi chiz se jalte dekha
faslon ke koi ma'na hi mohabbat mein nahin
chand ko bahr ke pahlu mein machalte dekha
hum se puchho gham-e-mahbub ki lazzat ki 'adib'
hum ne is zahr ko tasir badalte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.