humne bata diya jo hamara KHayal hai
ham ne batā diyā jo hamārā ḳhayāl hai
tum bhī kaho jo dil meñ tumhāre savāl hai
ye aur baat roz hī khāne meñ daal hai
lekin ai mere laa'l ye rizq-e-halāl hai
ye baat kahte kahte ka.ī saal ho ga.e
us ke baġhair ab mirā jiinā muhāl hai
tum hī nahīñ udaas ho kul kā.enāt meñ
sab ke diloñ meñ koī na koī malāl hai
aise bhī log haiñ jinheñ roTī nahīñ nasīb
aise bhī haiñ ki jin ke liye shīrmāl hai
har shaḳhs paḌh rahā hai ḳhushī se mirī ġhazal
merī ġhazal meñ aap kā husn-o-jamāl hai
paayā hai maiñ ne jo mujhe us kī ḳhushī nahīñ
khoyā hai maiñ ne jo mujhe us kā malāl hai
jī chāhtā hai le ke use bhaag jā.ūñ maiñ
ai 'saif' us kā baap magar kotvāl hai
hum ne bata diya jo hamara KHayal hai
tum bhi kaho jo dil mein tumhaare sawal hai
ye aur baat roz hi khane mein dal hai
lekin ai mere la'l ye rizq-e-halal hai
ye baat kahte kahte kai sal ho gae
us ke baghair ab mera jina muhaal hai
tum hi nahin udas ho kul kaenat mein
sab ke dilon mein koi na koi malal hai
aise bhi log hain jinhen roTi nahin nasib
aise bhi hain ki jin ke liye shirmal hai
har shaKHs paDh raha hai KHushi se meri ghazal
meri ghazal mein aap ka husn-o-jamal hai
paya hai main ne jo mujhe us ki KHushi nahin
khoya hai main ne jo mujhe us ka malal hai
ji chahta hai le ke use bhag jaun main
ai 'saif' us ka bap magar kotwal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.