humne chaha tha jinhen shauq se armanon se
humne chaha tha jinhen shauq se armanon se
Qazi Syed Khursheeduddeen Khursheed
MORE BYQazi Syed Khursheeduddeen Khursheed
ham ne chāhā thā jinheñ shauq se armānoñ se
vo bahāreñ nahīñ vābasta gulistānoñ se
azmat-e-fitrat-e-idrāk badal jaatī hai
kaam bigḌe hue ban jaate haiñ dīvānoñ se
qahqahe dard kī tamhīd bhī ho sakte haiñ
bijliyāñ bhī kabhī Takrātī haiñ kāshānoñ se
maut un ke liye paiġhām-e-baqā hotī hai
khel jaate haiñ jo be-sāḳhta tūfānoñ se
kis qadar past huā fitrat-e-ādam kā vaqār
aaj insān laraz uThtā hai insānoñ se
aur baḌh jaatā hai andāz-e-junūñ kā aalam
jab bhī dīvāne ulajhte haiñ garebānoñ se
mai-kashī naam hai piine kā nigāhoñ se mudām
ham ne piinā nahīñ sīkhā kabhī paimānoñ se
kis qadar fitrat-e-bebāk kī ḳhū badlī hai
azm-e-mahmūd laraztā hai sanam-ḳhānoñ se
ham rahe dahr meñ āzurda-e-sāhil 'ḳhurshīd'
nāḳhudā se kabhī uljhe kabhī tūfānoñ se
hum ne chaha tha jinhen shauq se armanon se
wo bahaaren nahin wabasta gulistanon se
azmat-e-fitrat-e-idrak badal jati hai
kaam bigDe hue ban jate hain diwanon se
qahqahe dard ki tamhid bhi ho sakte hain
bijliyan bhi kabhi Takraati hain kashanon se
maut un ke liye paigham-e-baqa hoti hai
khel jate hain jo be-saKHta tufanon se
kis qadar past hua fitrat-e-adam ka waqar
aaj insan laraz uThta hai insanon se
aur baDh jata hai andaz-e-junun ka aalam
jab bhi diwane ulajhte hain garebanon se
mai-kashi nam hai pine ka nigahon se mudam
hum ne pina nahin sikha kabhi paimanon se
kis qadar fitrat-e-bebak ki KHu badli hai
azm-e-mahmud larazta hai sanam-KHanon se
hum rahe dahr mein aazurda-e-sahil 'KHurshid'
naKHuda se kabhi uljhe kabhi tufanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.