humne dekha hai bahut fitna-o-shar ka manzar
ham ne dekhā hai bahut fitna-o-shar kā manzar
dast-e-qātil meñ uchhalte hue sar kā manzar
har na.e moḌ pe dekhoge ba-chashm-e-hairat
vaqt ke rāh-numāoñ ke hunar kā manzar
aaj takbīreñ bhī haiñ band azāneñ bhī ḳhamosh
kitnā dil-doz hai allāh ke ghar kā manzar
baad muddat ke mulāqāt huī jab un se
qābil-e-dīd rahā dīda-e-shar kā manzar
vo bhī the saath magar 'shād' ke rūThe rūThe
kitnā pur-lutf thā us pahle-pahal kā manzar
hum ne dekha hai bahut fitna-o-shar ka manzar
dast-e-qatil mein uchhalte hue sar ka manzar
har nae moD pe dekhoge ba-chashm-e-hairat
waqt ke rah-numaon ke hunar ka manzar
aaj takbiren bhi hain band azanen bhi KHamosh
kitna dil-doz hai allah ke ghar ka manzar
baad muddat ke mulaqat hui jab un se
qabil-e-did raha dida-e-shar ka manzar
wo bhi the sath magar 'shad' ke ruThe ruThe
kitna pur-lutf tha us pahle-pahal ka manzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.