humne dekha hai bhare shahr mein saya apna
humne dekha hai bhare shahr mein saya apna
Syeda Kauzar Munawar Sharqpuri
MORE BYSyeda Kauzar Munawar Sharqpuri
ham ne dekhā hai bhare shahr meñ saayā apnā
ek sūraj hai pas-e-pusht parāyā apnā
ġham-kada ashk-e-musalsal se nihāl-e-shab hai
zaḳhm-e-tāza ko dar-e-yār banāyā apnā
chāñd se paar koī raat baserā Daale
ham se pūchhe hai koī ḳhuun bahāyā apnā
ab to har shakl yahāñ zeb-e-numā.ish Thahrī
ham ne tamsīl-nagar aisā basāyā apnā
duḳhtar-e-mashriq-o-maġhrib ko bhī dekho 'kausar'
ruuh ko aam kiyā kuchh na chhupāyā apnā
hum ne dekha hai bhare shahr mein saya apna
ek suraj hai pas-e-pusht paraya apna
gham-kada ashk-e-musalsal se nihaal-e-shab hai
zaKHm-e-taza ko dar-e-yar banaya apna
chand se par koi raat basera Dale
hum se puchhe hai koi KHun bahaya apna
ab to har shakl yahan zeb-e-numaish Thahri
hum ne tamsil-nagar aisa basaya apna
duKHtar-e-mashriq-o-maghrib ko bhi dekho 'kausar'
ruh ko aam kiya kuchh na chhupaya apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.