humne dekha hai jab zindagi ki taraf
ham ne dekhā hai jab zindagī kī taraf
zindagī muḌ ga.ī bebasī kī taraf
yuuñ to pesh-e-nazar haiñ ka.ī rah-guzar
koī jaatī nahīñ hai ḳhushī kī taraf
mere hāthoñ kī ḳhuddārī maiñ kyā kahūñ
ye nahīñ phaile ab tak kisī kī taraf
laakh sajde kiye kiiñ du'ā.eñ ka.ī
phir bhī dil na jhukā bandagī kī taraf
āñsuoñ se nazar tar-ba-tar ho ga.ī
jab uThī aañkh lab kī hañsī kī taraf
haath meñ jaam ham ne liyā thā abhī
paañv Dhalne lage be-ḳhudī kī taraf
ye alag baat hai aap samjhe nahīñ
thā ishāra mirā aap hī kī taraf
hum ne dekha hai jab zindagi ki taraf
zindagi muD gai bebasi ki taraf
yun to pesh-e-nazar hain kai rah-guzar
koi jati nahin hai KHushi ki taraf
mere hathon ki KHuddari main kya kahun
ye nahin phaile ab tak kisi ki taraf
lakh sajde kiye kin du'aen kai
phir bhi dil na jhuka bandagi ki taraf
aansuon se nazar tar-ba-tar ho gai
jab uThi aankh lab ki hansi ki taraf
hath mein jam hum ne liya tha abhi
panw Dhalne lage be-KHudi ki taraf
ye alag baat hai aap samjhe nahin
tha ishaara mera aap hi ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.