humne dekhe the kabhi KHwab suhane kya kya
ham ne dekhe the kabhī ḳhvāb suhāne kyā kyā
yaad aate haiñ vahī guzre zamāne kyā kyā
dard-e-dil yās-o-alam hasrat-o-armāñ aañsū
dafn haiñ dil ke ḳharābe meñ ḳhazāne kyā kyā
terī yādeñ tirī chāhat tirī furqat tirā ġham
tū ne baḳhshe mujhe rone ke bahāne kyā kyā
dil meñ raushan hī rahe terī mohabbat ke charāġh
āñdhiyāñ aatī rahīñ un ko bujhāne kyā kyā
haiñ vo duniyā kī nigāhoñ meñ ajā.ib-ḳhāne
log bhī chhoḌ ga.e qasr purāne kyā kyā
ahl-e-dil ab bhī taḌap uThte haiñ sun kar un ko
haiñ zamāne meñ mohabbat ke fasāne kyā kyā
dasht-o-sahrā pe hī mauqūf nahīñ hai ham ne
justujū meñ tirī dekhe haiñ Thikāne kyā kyā
sang-bārī se navāzā hai tire shahr ne jab
ro.e haiñ mere liye ā.ina-ḳhāne kyā kyā
yād-e-māzī ne mujhe jab bhī satāyā hai 'zafar'
ek lamhe meñ simaT aa.e zamāne kyā kyā
hum ne dekhe the kabhi KHwab suhane kya kya
yaad aate hain wahi guzre zamane kya kya
dard-e-dil yas-o-alam hasrat-o-arman aansu
dafn hain dil ke KHarabe mein KHazane kya kya
teri yaaden teri chahat teri furqat tera gham
tu ne baKHshe mujhe rone ke bahane kya kya
dil mein raushan hi rahe teri mohabbat ke charagh
aandhiyan aati rahin un ko bujhane kya kya
hain wo duniya ki nigahon mein ajaib-KHane
log bhi chhoD gae qasr purane kya kya
ahl-e-dil ab bhi taDap uThte hain sun kar un ko
hain zamane mein mohabbat ke fasane kya kya
dasht-o-sahra pe hi mauquf nahin hai hum ne
justuju mein teri dekhe hain Thikane kya kya
sang-bari se nawaza hai tere shahr ne jab
roe hain mere liye aaina-KHane kya kya
yaad-e-mazi ne mujhe jab bhi sataya hai 'zafar'
ek lamhe mein simaT aae zamane kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.