humne dekhe zindagi mein chand aise sar-phire
ham ne dekhe zindagī meñ chand aise sar-phire
dushmanoñ meñ jo payām-e-dostī le kar phire
vaa.e ye taht-e-shu'ūr apnā balā sā ban gayā
apnī āñkhoñ meñ baḌe nādīdanī manzar phire
jab bhī vo aa.e khulī aish-o-tarab kī chāñdnī
din mire zulmat-kade ke is tarah aksar phire
kyā koī shahr-e-tamannā phir ujaḌ kar bas gayā
jābirān-e-vaqt kyoñ ḳhanjar liye ghar ghar phire
shab ko aksar ham-safar thī ThanDī ThanDī chāñdnī
din ko ham jaltā huā sūraj liye sar par phire
niiñd kyā aatī shab-e-hijrāñ ke is māhaul meñ
ham kabhī baiThe kabhī uTThe kabhī uTh kar phire
dam ġhanīmat hai 'jamālī' aap kā is daur meñ
ab zamāne meñ kahāñ haiñ aap jaise sar-phire
hum ne dekhe zindagi mein chand aise sar-phire
dushmanon mein jo payam-e-dosti le kar phire
wae ye taht-e-shu'ur apna bala sa ban gaya
apni aankhon mein baDe nadidani manzar phire
jab bhi wo aae khuli aish-o-tarab ki chandni
din mere zulmat-kade ke is tarah aksar phire
kya koi shahr-e-tamanna phir ujaD kar bas gaya
jabiran-e-waqt kyon KHanjar liye ghar ghar phire
shab ko aksar ham-safar thi ThanDi ThanDi chandni
din ko hum jalta hua suraj liye sar par phire
nind kya aati shab-e-hijran ke is mahaul mein
hum kabhi baiThe kabhi uTThe kabhi uTh kar phire
dam ghanimat hai 'jamali' aap ka is daur mein
ab zamane mein kahan hain aap jaise sar-phire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.